Saturday, December 29, 2007

tod leta agar woh gulab hoti

tod leta agar woh gulab hoti
mai jawab banta agar woh sawal hoti
log jante hai mai nasha nahi karta
magar pee leta agar woh sharab hoti.


yeh arzoo nahi kisiko bhulaye hum
na tamnna hai ki kisiko rulaye hum
par dua hai us rab se jisko jitna yad karte hai
unhi ko utna yad aaye hum.


kinaro pe sagar ke khazane nahi aate
phir yadon me woh dost purane nahi aate
jilo in hasin palo ko hanske janab
phir lout ke dosti ke zamane nahi aate.


ummid ki kashti ko duboya nahi karte
shahil agar dur ho to roya nahi karte
rakhte hai jo dil me tadap kisiki
woh raton ko bhi soya nahi karte.


din teri yad me bit jata hai
rat ko bhi tera hi khayal aata hai
kabhi to ye khayal is tarah bas jata hai
ki,aaine me bhi tera chehra nazar aata hai.

No comments: