Barbaad Kar Daitey ...
Mujhe is zindagi se qabal hi nashaad ker detey
Abhi tanha kiya hai to tabhi berbaad ker detey
kabhi terey dayaar-e-ishq mai abaad na hota
Dil-e-mehtaab ko aisa dil-e-berbaad ker detey
Her ek rabt khatam aur saari aas bhi tooti
Adhoorey khawab se ankhon ko bhi Azaad ker detey
Mujhe tum kuch bhi kertey mujh se faqat pyar na kertey
Jala ker raakh kertey zindagi berbaad ker detey
Kiye wadey nibhatey aur mujhe abaad ker detey
Sabhi wadey jo torey mujh ko bhi berbaad ker detey
Hamein maloom ager hota ke hona wasta gham se
To hum is dil ki nermiyon ko bhi folaad ker detey
Ager sab kuch mere naseeb ka likha nahi hota
To hum duniya ko bhi dil ki tarah berbaad ker detey