Chehrey pe apna dast-e-karam phairti huyi
Maa ro padi hai sar ko merey choomti huyi
Ab kitney din rahoge tum doour mujh se jaan!
Thakti nahi hai mujh se yehi poochti huyi
Rehti hai jaagti wo meri neend keliye
Shor-o-ghul ko mujh se doour parey rokti huyi
Bechain hain kese wo merey chain keliye
Aatey huye dinoun ka safar sochti huyi
Kehti hai kesi kat-ti hai pardes mein teri
Aankhoun se apney ashk-e-rawaan phoonchti huyi
Har baar poochti hai ke kis kaam pe ho tum
Ghaur se wo sakhat haat merey dekhti huyi

No comments:
Post a Comment