Saturday, May 17, 2008

*** AANKH MEIN HI REH JAYA KARE ***

Mujhko ruswa sar-e-mehfil to na karwaya kare
Kaash aansoo meri aankh mein hi reh jaya kare

**-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-**

Ae hawa maine to bas uska pata poocha tha
Ab kahani to na har baat ki ban jaya kare

**-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-**

Bas bahut dekh liye khawaab suhane din ke
Ab wo baaton ki rafaqat se na bahlaya kare

**-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-**

Ek musibat to nahi tooti so ab is dil se
Jis kayamat ne guzarna hai guzar jaya kare

**-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-**

Jiske khawaabo ko main aankho mein saja kar rakhu
Uski khushboo kabhi mujhko bhi to mahkaya kare

No comments: