Zindagi Jo Mujhe Muddaton Aazmaati Rahi
Har Lamha Meri Mushkilon Ko Badhaati Rahi
Jeene Ko To Main Yoon Hi Zindagi Jeeta Raha
Main Saans Leta Raha, Woh Karam Farmaati Rahi
Musibaton Ka Hans Kar Maine Saamna Jo Kiya
Woh Mujhpar Aur Bhi Musibatein Dhaati Rahi
Main Uski Nawazishon Par Muskuraata Raha
Aur Woh Tanzia Mujhpar Muskuraati Rahi
Zindagi Jeene Ka Saleekha Na Aaya Mujhe
Shayed Isi Liye Woh Mujhe Sataati Rahi
Ab To Baakhi Na Rahi Kisi Cheez Ki Talab
Des Parades Woh Mujhe Itna Phiraati Rahi
Kisko Rafeeq Samjhoon Aur Kisko Raqeeb
Apni Parchai Se Bhi Mujhe Daraati Rahi
Bhari Mehfil Mein Khud Ko Mehsoos Kiya Tanha
Mujhe Har Lamha Yeh Kiski Yaad Aati Rahi

No comments:
Post a Comment