Thursday, May 1, 2008

Ab kia likhain hum khaghaz per

Ab kia likhain hum khaghaz per
Ab likhnay ko kia baqi hai
Eik dil tha so wo toot gaya
Ab lautnay ko kia baqi hai
Eik Skakhas ko hum ne chaha tha
Eik rait pe qaqsh banaya tha
Wo rait to kab ki bikhar chuki
Wo Naqsh kahan ab baqi hai

Ab kia likhain hum khaghaz per
Ab likhnay ko kia baqi hai
Jo sapnay hum ne dekhay thay
Kaghaz per saray likh daalay
Wo saaray kaghaz phir hum ne
Darya kay hawalay kar daalay
Wo saaray khwab baha daalay,
Wo saaray naqsh mita daalay
Ab zahan ha khali Naqshoon ka,
koi khwab kahan ab baqi hai


Ab kia likhain hum khaghaz per
Ab likhnay ko kia baqi hai
Hum jinko apni Nazmoon ka
Unwaan banaya kartay thay
Lafzoon ka bana kar Taj Mahal
kaghaz per sajaya kartay thay
Wo hum ko akaila chor gaye
Sub rishtoon se monh moor gaye
Ab rastay saray soonay hain
Wo pyar kahan ab baqi hai


Ab kia likhain hum khaghaz per
Ab likhnay ko kia baqi hai ...!!!!??

No comments: