Chehre par mere zulf ko phailaao kisii din
Kyaa roz garajte ho baras jaao kisii din
Raazon kii tarah utro mere dil mein kisii shab
Dastak pe mere haath kii khul jaao kisii din
Pedon kii tarah husn kii baarish mein nahaa loon
Baadal kii tarah jhoom ke ghir aao kisii din
Khushbuu kii tarah guzro mere dil kii galii se
Phoolon kii tarah mujh pe bikhar jaao kisii din
Phir haath ko Khairaat mile band-e-qabaa kii
Phir lutf-e-shab-e-vasl ko dohraao kisii din
Guzrein jo mere ghar se to ruk jaaye sitaare
Iss tarah merii raat ko chamakaao kisii din
Main apni har ik saans usii raat ko de doon
Sar rakh ke mere siine pe so jaao kisii din......

No comments:
Post a Comment