Wednesday, June 4, 2008

Kachchi deewaar hoon thhokar na lagana mujhko

Kachchi deewaar hoon thhokar na lagana mujhko,
Apni nazron mein basa kar na giraana mujhko !

Tumko aankhon mein tasavvur ki tarah rakhta hoon,
Dil mein dhadkan ki tarah tum bhi basaana mujhko !

Baat karne mein jo mushkil ho tumhe mehfil mein,
Main samajh jaaonga nazron se bataana mujhko !

Waada utna hi karo jitna nibha sakte ho,
Khawab poora jo na ho woh na dikhaana mujhko !

Apne rishte ki nazaaqat ka bharam rakh lena,
Main to aashiq hoon deewana na banana mujhko !

Kachchi deewaar hoon thhokar na lagana mujhko,
Apni nazron mein basa kar na giraana mujhko !!

No comments: