Tuesday, July 1, 2008

Hum dosti ka farz nibhaane me reh gaye

Pa ke daga aur fareb zamane me reh gaye

Hum dosti ka farz nibhaane me reh gaye

Palak jhapkte duniya humse aage nikal gayi

Hum dosto se haath milaane me reh gaye

Dekhte dekhte ho gaya wo aur kisi ka, aur

Hum apne dil ko samjhane me reh gaye,

Duniya apni ujaad li unko paane ki chah me

Aur woh apna ghar basaane me reh gaye,

Hamare saare rishte unse shuru unpe khatam

Wo hamari dosti ko aazmane me reh gaye

Chhor diya unko unki khusi ki khatir dosto

Hum phir gumnaam veeraane me reh gaye

No comments: