Tuesday, July 8, 2008

Tu agar bewafa hai to

Jo hukum karta hai woh iltejaa bhi karta hai...
Yeh Aasman bhi jaake kahin pe jhukta hai'
Tu agar bewafa hai to yeh buri khabar bhi sun le..
Mera intezaar koi aur bhi kartaa hai...

...................................

Dil mein ek dard liye jiye ja raha hoon,
Teri mohabbat ka jaam piye ja rahan hoon,
Na chahte huye bhi ye kaam kiye jaa raha hoon,
Na jane khud ko kaun si manzil par liye ja raha hoon.

...................................

Teri judai bhi hamein pyaar karti hai,
Teri yaad bahut bekrar karti hai,
Woh din jo tere sath guzare the,
Talash unko nazar bar bar karti hai.

...................................

Agar jindagi mein judai na hoti,
Toh kabhi kisi ki yaad aayi na hoti,
Sath gujara hota har lamha,Toh sayad risto mein itani gahrai na hoti.

No comments: