Friday, August 1, 2008

Itna Aasan To Nahi

Itna Aasan To Nahi

Pyar kerta hoon main tumse
Izhar kerna itna aasan to nahin

Samajhta hoon mushkil ko per
Samjhana itna aasan to nahin

Dil mein tu bahut kuch he par
Labon pe lana itna aasan to nahin

Khud wo sab dukh jante hue
Dusron ka dil dukhana itna aasan to nahin

Apnon ke zakhm dil mein chupa ke
Dil ka dhadkte rehna itna aasan to nahin

Umeedein to bahut hein shayed par
In umeedon ka poora hona itna aasan to nahin

Ankhon se sab jhalakta ho jab
Labon ka muskurana itna aasan to nahin

Pyar kya he janta hoon par
Dastan sunana itna aasan to nahin

Dil rota he zaar-o-zar par
Ankhon ka num na hona itna aasan to nahin

Logon ko umeedein hein mujh se per
Zamane ka ghulam hona itna aasan to nahin

Us ik sache din ko bhula kar
Duniya ke saath chalna itna aasan to nahin

Dil hi na raha ho jab phir
Dil ka toot jana itna aasan to nahin

Sanwaarna chahta hoon is zindagi ko mein bhi
par Is bhanwer ka sanwer jana itna aasan to nahin

Dua he k dil ko sakoon mile par
Derde dil ki dawa karna itna aasan to nahin..!