Thursday, May 8, 2008

Mera Haal-e-Dil


Mera Haal-e-Dil Kuch aesa hai K Koi Bata Nahi Sakta
Suntay Hain Loog Per Koi Suna Nahin Sakta

Hawaoon Pay Likha Hai Main Nay Qissa Apni Hayat Ka
Kay Koi Lakh Chahay Bhi To Mitaa Nahin Sakta

Har Ek Ki Tamanna Hai Kay Phooloon Pay Guzaray Zindagee
Per Raah Main Paray Kantoon Ko Koi Hata Nahin Sakta

Dil Main Dukh Samooo Kay Kab Tak Hanstay Rahoo Gay,
Aankhoon Main Aaisay Aansowoon Ko Koi Chupa Nahin Sakta

Lakh Chahay In Mast Mailoon Main Gum Ho Jayay
Mager Beetay Huay Lamhoon Ko Koi Bhulla Nahin Sakta

Koi Rooth Jayay Tum Say To Mana Laina,
Kay Janay Waloon Ko Koi Wapis Bula Nahin Sakta

Her Rooshan Cheez Ko Paa Lainay Ki Arzoo Na Ker
Kay Suraj Nikalta Hai Per Us Ki Taraf Koi Aankh Utha Nahin Sakta

Samander Ki Lehroon Pay Un Ka Naam Likhta Hoon
Kay Koi Aag Laga Bhi Day Per Jala Nahin Sakta...

No comments: