Tuesday, May 13, 2008

Mohabbat kya hai wo kabhi jaan na saka

Pyaar ka gham bezubaan hai is dil mein
Us ki mohabbat abaad hai is dil mein
Wo to kargaya bewafai hum se
Per us bewafa ke liye aaj bhi pyaar hai is dil mein


Mohabbat kya hai wo kabhi jaan na saka
Per apne liye wo jahaan banagaya hai is dil mein
Juda hone ka sabab kuch to bataya hota us ne
Aaj bhi us ki judai pe kai sawaal hai is dil mein


Wo tha eik ajnabi jise hum jaante na thee
Per jab hum ne dekha use kai khahishein wo jaga gaya is dil mein
Wo to aisa na tha per jab us ne ki DEV se bewafai
Kai ashk utar aaye aankhoun se is dil mein

No comments: