Wednesday, December 5, 2007

Aur hum kehte hai Zindagi jeene ka naam zindagi hai

Sitaroon ne kaha rim jim ka nam zindagi hai
chand ne kaha musalsal safar ka nam zindagi hai
baharooon ne kaha khushboon bakhairne ka naam zindagi hai
Sooraj ne kaha roshni ka naam zindagi hai
pani ne kaha rawani ka nam zindagi hai
Ashiq ne kaha kisi ki yaad mein jalna zindagi hai
parwane ne kaha dosroon ke khatar jan dena zindagi hai
Musafir ne kaha batakne ka naam zindagi hai
bande ne kaha bandagi hi zindagi hai
phol ne kaha muskarana zindagi hai
Deewane ne kaha deewangi zindagi hai
Raat ne kaha tareeki hi zindagi hai
parinde ne kaha uran aik zindagi hai
shama ne kaha dosroon ko roshni daina zindagi hai
awara ne kaha awargi ka nam zindagi hai

No comments: