Wednesday, January 2, 2008

DIL KE TUKDE

DIL KE TUKDE

Hamesha muskura ke aansuno ko chupaya
Ghum ko chupane ka yehi rasta nazar aaya
Kis kis ko batatey behtey ashkon ka sabab
Kay dard-e-dil dil main kisne jagaya

Mehfilon main kahin bhi maza na raha,
Rakha dil pay pather to khud ko sajaya
Baat bay baat apni aahain daba ker
Yaron kay dermiyan kis qadar muskuraya


Na thi chah kabhi mujahy mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi bay wafa nay pilaya
Kya muqadar say shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya

Yeh kis mor pay aagaee hain umeedain
Kay saaya-e-manzil nazar main na aaya
Apnone nay palat kay dekha tak nahin
Ghairon nay aaker galay say lagaaya


Acha hua kay raaz khul hi gaya
Dil-e-nadaan pay khanjar kis nay chalaya
Shab-o-roz chahat sila yeh hay shaiki
Dil kay tukrey huay wo chunney na aaya

No comments: