Wednesday, January 2, 2008

Hamesha jaane ki baat karta hai koi

Hamesha jaane ki baat karta hai koi
Phir Mujhe azmaane ki baat karta hai koi

Baar baar main rokta hoon uski raahe
Hawain ban jaane ki baat karta hai koi

Main barasta hoon Roz barish ki tarah
Dhoop ho jaane ki baat karta hai koi

Main Chahti hu uski gheeli palkein
Ruth jaane ki baat karta hai koi

Kehta hai har roz sirf ek baar aa
Aake na jaane ki baat karta hai koi

Sirf ek baar apni awaz suna kar
Din guzarne ki baat karta hai koi

Apni neende mere sarhane rakh kar
So jaane ki baat karta hai koi..!!!

No comments: