Saturday, March 1, 2008

Dil he jub jaan say juda ho ga

Dil he jub jaan say juda ho ga
u jeay bhe tu jee ke kia ho ga
lamha lamha teri judai main
kis qadar sabr aazma ho ga

kam na ho ge teri paristari
hum na hon gain tu dosra ho ga
moujzan dil main hai laho ki tarha
dard dil say kahen juda ho ga

teri yadon k bhool janay tak
zehra-e-ghum kaam kar choka ho ga
us na hum say he jub nibha na ki
woh kise aur ka bhe kia ho ga

aaj pher zalzala sa hai dil main
ab khuda janay aur kia ho ga
Fursat ke kuch lamhe nikal kar
the kuch sapne sajaye maine

Bedardo ki iss duniya se chun kar
the kuch rishte apnaye maine
Magar waqt ko raas na aayi wafa meri aur
Ho gaye Paraye woh mujhse
thhe kabhi jo apne banaye maine

No comments: