Wednesday, March 5, 2008

Raaz ki baatain likhi aur khat khula rehnay diya

Raaz ki baatain likhi aur khat khula rehnay diya
Jaanay kyon rusvaion ka silsila rehnay diya

Umar bhar meray saath reh kar woh na samjha dil ki baat
Do dilon kay darmiyan ik faasla rehnay diya

Apni fitrat woh badal paya na iskay bawajood
Khatam ki ranjish magar gila rehnay diya

Main samjhta tha khushi degi mujhay
Isliyeymainay gamon say Naata rehnay diya

Raaz ki baatain likhi aur khat khula rehnay diya
Jaanay kyonrusvaion ka silsila rehnay diya...

No comments: