Thursday, April 24, 2008

Ek din, main Delhi pahuncha

Ek din, main Delhi pahuncha,
Station pe ek coolie se bahar jane ka rasta pooncha.
Coolie ne kaha: "Bahar jaake poocho."

Maine khud hi rasta dhundh liya,
Bahar jaake taxiwale se pooncha:
"Bhai saab Lal Kile ka kitna loge?"
Jawab mila: "Bechna nahi hai."


Taxi chod, maine bus pakad li,
Conductor se pooncha: "Ji, kya mein cigarette pi
sakta hoon?"
Wo gurrra kar bola: "Hargiz nahi, yaha cigarette
pina mana hai."
Maine kaha: "Par wo janab to pi rahe hai!"
Phir se gurrrraya: "Usne mujhse pooncha nahi hai."


Lal Kile pahucha, hotel gaya.
Manager se kaha: "Mujhe room chahiye, satvi manzil
pe."
Manager ne kaha: "Rahane ke liye ya koodne ke liye?"
Room pahucha, waiter se kaha:
"Ek paani ka gilas milega?"
Usne jawab diya: "Nahi sahab, yahan to saare kanch
ke milte hain."


Hotel se nikla, dost ke ghar jaane ke liye,
Raste me ek sahab se pooncha:
"Janab, ye sadak kaha ko jaati hai?"
Janab hans kar bole: "Peechle bees saal se dekh
rahan hoon,
Yahi padi hai... kahin nahin jaati."


Dost ke ghar pahucha, to mujhe dekhte hi chownk
pada,
Usne poocha: "Kaise aana hua?"
Ab tak to mujhe bhi aadat pad gayi thi,
Maine bhi jawab diya: "Train se."


Meri aaobhagat karne ke liye dost ne apni biwi se
kaha:
"Areeee sunti ho... mera dost pehli baar ghar aaya
hai,
Uuse kuch taja taja khilao."
Sunte hi bhabhiji ne ghar ki sari
khidkiya aur darwaje khol diye.
Kaha: "Taji hawa kha lijiye."


Dost ne phir se baday pyar se! ! biwi se kaha
:
"
Areeee sunti ho, inhe jara apna chalis saal purana
aachar to dikhana."
Bhabiji ek baatli me rakha aachar le aayi.
Maine bhi apnapan dikhate hue bhabiji se kaha:
"Bhabhiji, aachar sirf dikhayengi, chakhayengi
nahi?"
Bhabiji ne taak jawab diya: "Yuhi agar sab ko
chakhati
To aachar chalis saal purana kaise hota?"


Thodi der baad dekha, bhabiji apne potey ko sula rah
thi,
Saath me lori bhi ga rahi thi:
"Diploma so ja, diploma so ja."
Lori soon mein hairan hua aur dost se poocha:
"Yaar, ye diploma kya hai?"
Dost ne jawab diya: "Mere grandson ka naam,
Beti bambai gayi thi, diploma lene ke liye
Aur saath mein ise le aayi,
Isiliye hamne iska naam Diploma rakh diya."
Phir maine pooncha: "Aajkal tumhari beti kya kar
rahi hai?"
Dost ne jawab ! ! diya: "Bambai gayi hai, degree lene ke
liye..

No comments: