Tuesday, April 15, 2008

Meri har baat me usi ki baat rehti hai






Meri har baat me usi ki baat rehti hai

Naa jane kyon dil ko har pal kisi ki aas rehti hai

Sirf or sirf usi ke Didaar ki Tadap rehti hai

Wo samajhta hai mere dil ki har baat

Isliye ye juban khamosh rehti hai


Mere Dil ki Dhrakan, meri jaan hai wo

Mere har khayal me ussi ki yaad rehti hai

Wo hai duniya me sabse pyaara mujhe

Meri har baat me usi ki baat rehti hai


Uske aane se aa jati hai chahre pe ronak

Wo naa ho to meri to duniya ujad si rehti hai

Uska pyar ka ijhaar bhi meri jaan leta hai

Samjhta hai isliye baar–2 kehta hai

Mere Dil, Dimag, mera kal, mera Aaj

Mere har khwab se uski khusbu aati hai

Meri har baat me usi ki baat aati hai








No comments: