Wednesday, April 30, 2008

Meri taswir main rang aur kisi ka to nahi

Meri taswir main rang aur kisi ka to nahi
gher len mujhko sab ak main tamasha to nahi


zindagi tujhse har ik sans pe samajhuta karun
shauq jine ka hai mujhko magar itaa to nahi


ruh ko dard mila dard ko ankhen na mili
tujhko mahsus kiya hai tujhe dekha to nahi


sochte sochte dil dubne lagta hai mera
zahan ki tah main 'Muzaffar' koi dariya to nahi


zakhm-e-tanhai main khushbu-e-hina kis ki thi
saya diwar pe mera tha sada kis ki thi


uski raftar se lipti rahi meri ankhen
us ne mur kar bhi na dekha k wafa kis ki thi


waqt ki tarah dabe panw ye kaun aya hai
main andhera jise samjha wo qaba kis ki thi


ansuon se hi sahi bhar gaya daman mera
hath to main ne uthaye the dua kis ki thi


meri ahon ki zaban koi samajhta kaise
zindagi itni dukhi mere siwa kis ki thi


ag se dosti us ki thi jala ghar mera
di gai kis ko saza aur khata kis ki thi


main ne binaiyan bo kar bhi andhere kate
kis k bas main thi zamin abr-o-hawa kis ki thi


chor di kis liye tu ne "Muzaffar" duniya
justaju si tujhe har waqt bata kis ki thi.......

No comments: