Saturday, November 3, 2007

Aaya tera salam na aaya hai khat koi

Aaya tera salam na aaya hai khat koi


Vo anjuman mein raat badi shaan se gaye
Imaan chiiz kyaa thi kai jaan se gaye
Main to chhupa hua tha hazaaron naqaab mein
Lekin akele dekh ke pahchaan se gaye
Vo shama ban ke khud hi akele jala kiya


Parvaane kal ki raat pareshaa se gaye
Aaya tera salam na aaya hai khat koi
Ham aakhri safar ke bhi saman se gaye
Jinhen Khudaa bhi na samjha sakaa kabhi
Baithe bithaye dekh lo AB maan se gaye

No comments: