Monday, November 26, 2007

Dekh lo Khwab magar Khwab ka charcha na karo

Dekh lo Khwab magar Khwab ka charcha na karo

log jal jayenge suraj ki tamanna na karo

waqt ka kya hai kisi pal bhi badal sakta hai

ho sake tum se to tum mujh pe bharosa na karo

kirchiya ToTe hue aks ki chobh jayengi

aur kuch roz abhi aina dekha na karo

ajnabi lagne lage Khud tumhain apna hi wajood

apne din rat ko itna bhi akela na karo

Khwab bachchon ke khilauno ki tarah hote hain

Khwab dekha na karo Khwab dikhaya na karo

be-Khayali main kabhi ungliyan jal jayengi

rakh guzare hue lamhoo ki kureda na karo

mom ke rishte hain garmi se pighal jayenge

dhoop ke shahar main "Azer ye tamasha na karo

No comments: