Thursday, November 1, 2007

Na Woh Aa Sake Na Hum Jaa Sake

Na Woh Aa Sake Na Hum Jaa Sake
dard dilka na kisi ko suna sake
yaadon ko le kar baithe hai unki
na woh bhoola sake na hum bhula sake
woh nadiyan nahi thi aansoo the mere
jis par woh kashti chalate rahe
manzil mile unhe yeh dua thi meri
isiliye hum aansoo bahate rahe

tere baare mein jab socha na tha
main tanha tha magar itna na tha
teri tasveer se karta tha baatein
mere kamre mein jo aayina na tha

aas ki tapti hui dhoop mein jalne do mujhko,
aas ke badalon sir pe mere aaya na karo,
aaj ke daur ko paigham hai yehi,
koi gir jaye to usse uthaya na karo.

No comments: