Wednesday, November 21, 2007

Kaise jiyenge tum bin, ye khayal to kiya hota

Kaise jiyenge tum bin, ye khayal to kiya hota
jo dard saha humne vo kabhi tumne bhi saha hota
bas chal diye daaman chuda ke, begano ki tarah
kam se kam hass ke ek bar alvida to kaha hota.

Gairon se wafa ki umeed kya karni
yahan apno ne sitam dhayen hai
woh pyar kar bhool gaye hai
hum aaj bhi yaadon me basaye hai
hum tanhai me har ik pal roye
Mehfil me sada muskuraye hain
Dil ko Samajte hai woh khiloney ki tarah
Tabhi to pyar ki dukaan shareyaam sajaye hai.


yakin har rishte ki buniyaad hota hain
tut jaaye agar to judna mushkil hota hain
kehna aasan hain humain yakin nahi hain tumpe
lekin dard is cheez ka be-panah hota hain.

No comments: