Friday, November 23, 2007

Shayari : Dil" ka dard jab panno par Aa jata hai

Dil" ka dard jab panno par Aa jata hai
Ek" Aansu b dariya ban jata hai
Dil" k Tutne ki "Aawaz" bhi nahi aur
Sara dard "GAZAL" ban jata hai.


Barsaat ki bheegi raaton mai fir koi suhaani yaad ayi
kuch apne jamana yaad aaya kuch unki jawani yaad aayi
hum bhool chuke they jisne hume duniya mai akela chor diya
jab gaur kiya tau ek surat jaani pehchaani yaad aayi..


Hamare zakhmo ki vajhah bhi wo hai..
Hamare zakhmo ki Dava bhi wo hai...
Wo namak zakmo pe lagaye to kya hua...
Mohabbat karne ki wazah bhi wo hai...

mohabbat ke kuch aise arma bhi hote hain
jaagti aankhoon main bhi khuwab hote hain
kaun kehta hai ke ghum main hi aasoon nikalte hain
in muskurati aankhoon main bhi seilab hote hain

DARD HI SAHI MERE ISHQ KA INAAM TO AYA
KHALI HI SAHI HATHON MEIN JAM TO AAYA
MEIN HOON BEWAFA SABKO BETAYA USNE
YUN HI SAHI, USKE LABHON PE MERA NAAM TO AAYA


1 comment:

Ranveer Singh said...

Behot he achi shyari hai yar

Supar mind blwing ............