Friday, November 16, 2007

Sub kuchh paas hota hai mere

Manzilen paker bhi aankho-n men
Hum in aankhen Ashq bhi basate hain
Sub kuchh paas hota hai mere
phir bhi hum khud ko tanha pate hain


jakhmo-n ka dard etna gahra kahan
jitna K tanhayee ke sath se durta hoon
Nazar nahin aate jo wo
Tanhayee ke shole bhi humen jalate hain


Her waqt, her ghudi ,her pal
es aag ne sameta hai mujhko per
Chehere per muskan rukh ker
hum subko dikhate hain


Per aisa bhi nahin k gumsum se hum jee len yahan
gar sun sake koyee to humari khamoshi
Bhi apni aawaz sunate hain
waise to kahne ko sara suku-n hai

No comments: