Tuesday, November 20, 2007

bujti shama ka mai dhua hu

bujti shama ka mai dhua hu,
mai apne markaz pe ja raha hu.

ye dil ki dunia to lut chuki hai,
ab apni hasti mita raha hu.

teri hi surat ko dekhne ko,
tamam tasvire la raha hu.

ye sari tasvire jama karke,
tera tasavvur bana raha hu.

udhar woh ghar se nikal chuke hai,
idhar mera dum nikal raha hai.

daga de rahi kaha pe kismat,
woh aa rahe hai mai ja raha hu.

ye khusnashibi to dekhiyega,
woh meri maiyyat pe aaj aye,

khabar na li umre bhar jinho ne,
unhi ke kandho pe ja raha hu.

No comments: