Wednesday, November 28, 2007

Kehna ko us sa mera koi waasta nahin

Kehna ko us sa mera koi waasta nahin
magar woh shakhs mujha bhoolta nahin

darta hoon aankh kholoon to manzar badal naa jaye
main jaag to raha hoon magar jaagta nahin


aashaftagi say uski usa beywafa naa jaan
aadat ki baat or hay dil ka bura nahin

tanha udaas chaand ko samjho naa beykhabar
hur baat sun raha hay magar bolta nahin


khamosh ratjagoun ka dhuwaan tha chahaar soo
nikla kub aaftaab mujhay to pata nahin

woh aankhain jheel see gehri to hain magar
un main koi bhi aks meray naam ka nahin!!

No comments: