Monday, November 26, 2007

mere ansuoon pe nazar na kar

mere ansuoon pe nazar na kar
mera shikwa sun ke Khafa na ho
use zindgi ka bhi haq nahi
jise dard-e-ishq mila na ho

ye inayatain ye nawazishain
mere dard-e-dil ki dawa nahi
mujhe us nazar ki talash hai
jo ada shanas-e-wafa na ho

tujhe kya bataon mai beKhabar ki
hai dard-e-ishq main kya asar
ye hai wo latif si kaifiyat jo
zuban tak aye ada na ho

ye sharab rez-e-hasi ghata jo hai
"Kaif" nazish-e-maykada
kisi tashna-kam ki arzoo
kisi tashna-lab ki dua na ho

No comments: