Thursday, November 29, 2007

Humesha muskura ka aansooun ko chupaya

Humesha muskura ka aansooun ko chupaya
Ghum ko chupana ka yehi rasta nazar aaya
Kis kis ko batate behte ashkon ka sabab
Ka derd-e-dil dil main kis na jagaya
Mehfilon main kahin bhi maza na raha
Rakha dil pa pather to khud ko sajaya

Baat ba baat apni aahain daba ker
Yaron ka dermiyan kis qadar muskuraya
Na thi chah kabhi mujah mankashi ki
Jaam-e-wafa kisi ba wafa na pilaya

Kya muqadar sa shikwa kertey rahain
Jo qismat main tha wohi kuch to paaya
Yeh kis mor pa aagaee hain
umeedain Ka saaya-e-manzil nazar main na aaya
Apnoon na palat ka dakha tak nahin
Ghairon na aaker gala sa lagaaya hain

No comments: