Thursday, November 1, 2007

Koi lauta do mera naadan bachpan

Koi lauta do mera naadan bachpan,
nahi chahiye ye padhi likhi jawani,
wo kagaj ki kasti, wo nani ki godi,

chand me rahti thi,
pahle ek budhiya nani,
par wo gaddhen(patrols) hain,
jo dikhte hain kale-kale,
janti hai meri ye padhi likhi jawani,
Koi lauta do mera ........................

Wo balu ke ghar,
jo pal me bikhar jate the,
kitni khusiyan de jate the!
ab manjil dar manjil bana kar bhi,
khusiyan dhundati hai meri,
ye padhi likhi jawani,
Koi lauta do mera ..........................

jo hath badhte the,
apne se lagte the,
har ankho me apna pan jhalakta tha,
par ab AC ke ghar me dubki padi hai,
meri ye samjhdaar jawani,
Koi lauta do mera ..........................

har kahani sach lagti thi,
ab har sach kahani lagti hai,
ufffff ye meri badi-badi degree ki sanklit(holder) jawani,
Koi lauta do, koi lauta do, koi lauta do ......................